Khatam aakhir, ye mohabbat ka fasaana ho gaya
Heer ki doli gayi, Raanjha deewana ho gaya
Duniya ne mera sab kuch cheena (x2)
Nahi jeena mujhe mar jaana hai
Mil gaya khuda bhi duniya se
Bas ye shikwa kar ke jaana hai
Duniya ne mera sab kuch cheena
Nahi jeena mujhe mar jaana hai..
Mein suraj, chaand, sitaaron ko
Mitti mein aaj milaa deta
Ye mere bas mein hota toh
Duniya ko aag laga deta
Itni bedard ye duniya hai
Aisa bedard zamaana hai
Nahi jeena mujhe mar jaana hai..
Duniya ne mera sab kuch cheena
Nahi jeena mujhe mar jaana hai..
Mein kis ke liye, kis liye jiyu
Ab dil mein koi aas nahi
Apne gham pe rone ke liye
Aansu bhi mere paas nahi
Pehle tha aashiq naam mera
Ab mera naam dewaana hai
Duniya ne mera sab kuch cheena
Nahi jeena mujhe mar jaana hai..
Sajde toh karunga mein tujhko
Par koi dua nahi maangunga (x2)
Bas aaj ke baad mein kuch tujhse
Ae mere khuda nahi maangunga..
Gar daaman yaar ka choot gaya
Ab mera kaun thikaana hai..
Nahi jeena mujhe mar jaana hai
Duniya ne mera sab kuch cheena
Nahi jeena mujhe mar jaana hai..
Mil gaya Khuda bhi duniya se
Bas ye shikwa kar jaana hai
Nahi jeena mujhe mar jaana hai..(x3)
Duniya Ne Mera Sab Kuch was written by Anand Bakshi.
Duniya Ne Mera Sab Kuch was produced by Laxmikant-Pyarelal.