Amanat Ali & Ahmed Jehanzeb
Hina Nasrullah & Amanat Ali
Danny Zafar & Momina Mustehsan
Genius Romanizations
Ali Hamza & & Ali Sethi
Sayonee, Rahat Fateh Ali Khan & Ali Noor
Kaavish & Quratulain Baloch
Ali Zafar
Quratulain Baloch & Arieb Azhar & Akbar Ali
Sajjad Ali &
Aima Baig & Sahir Ali Bagga
Humera Channa &
Javed Bashir & & Akbar Ali
Farhan Saeed & Quratulain Baloch
Ali Zafar & Danny Zee
Ali Hamza & Nirmal Roy
Attaullah Esakhelvi &
Rahat Fateh Ali Khan
Jabbar Abbas & Umair Jaswal
Natasha Khan & Ali Zafar
Humera Arshad & Rachel Viccaji & Aima Baig
Momina Mustehsan &
Sajjad Ali
Shafqat Amanat Ali Khan
Ali Zafar & Ali Hamza & Strings
Allahu Akbar is a musical masterpiece which blends Middle-Eastern and South Asian musical motifs in a confluence of devotion. Ahmed Jehanzeb’s ethereal voice interwoven with Shafqat Amanat Ali Khan’’s commanding murqiyaan & harkatein light up the soundscapes that Shuja Haider has carefully craft...
Ar-rahmaan ur-raheem
Sami‘ ul-baseer
Hakeem ul-‘aleem
Ya hayy ul-qayyoom
Ya kareem o ya ghaffaar o raheem o ‘azeem o sari‘ ur-raza
Us pih hi raazi rahoon jo kiya tu ne mujh ko ‘ata
Yih jo nadaamat ki maala hai mere gale men paṛi
Tasbeeh is ko bana de ilaahi
Tasbeeh is ko bana de ilaahi
Tasbeeh is ko bana de ilaahi
Allaahumma inni as'aluka birahmatika
Ya z'ul-jalaal
Apne kiye pih jhukaaye hoon sar, dil men ranj o malaal
Tu jo sune nah sunaaoon ga kis ko yih faryaad main
Tu hi sami‘ ul-baseer ul-mujeeb
Tu hi sami‘ ul-baseer ul-mujeeb
Tu hi sami‘ ul-baseer ul-mujeeb
Rabb-i azaan-i bilaali bhi tu
Arham bhi tu aur jalaali bhi tu
Kun fayakun ka bhi khaaliq hai tu
Tu rabb-i mustafa
Allaahu Akbar
Tu rabb-i murtaza
Allaahu Akbar
Rabb-i siraat-i mustaqeem
Allaahu Akbar
Tu rabb-i kaa‘bah
Allaahu Akbar
Nooh ki kashti ko dekhta hoon
Hauz-i nadaamat men ḍooba hua hoon
Ya raheem
Kar de tu mujh ko qurbat ‘ata
Ya kareem
Dar-guzar kar de meri khata
Ya raheem
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Ya kareem
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Darya-i aatish men ham bas yoonhi jal jaaen ge
Gar tu sahaara bane ya rabb sambhal jaaen ge
Tu hi to wuh raushani hai kih jis se main ghaafil huwa
Jaane anjaane gunaahon se kuchh bhi nah haasil huwa
Ho teri nazr-i karam to yih mushkil bhi ṭal jaaye gi
Tu hi lateef ul-khabeer ul-haleem
Tu hi lateef ul-khabeer ul-haleem
Rabb-i deewaar-i z'ul-qarnain tu
Rabb-i mai‘raaj-i kaunain tu
Rabb-i ismaa‘eel o zam-zam bhi tu
Tu rabb-i ibraaheem
Allaahu Akbar
Tu rabb-i jibraaeel
Allaahu Akbar
Rabb-i malaaika
Allaahu Akbar
Tu rabb-i kausar
Allaahu Akbar
Apne ghulaamon ki de ghulaami
Ya mutakabbir ya mughni ya mughni
Roz-i hashr ka andaazah naheen
Bakhshish ka saamaan laaya naheen
Hai meri iltija, kar de qurbat ‘ata
Karde rahm o karam, miskeen hai tere dar pih khaṛa
Mere iraade jo ṭooṭe to mujh ko pata yih chala
Teri hukoomat men hoga wahi bas jo tu ne kaha
Apne habeeb ke sadqe sun le meri yih du‘a
Tu hi muqeet ul-haseeb ul-jaleel
Rabb-i zarb-i haidar o hamzah bhi tu
Rabb-i ‘asa-i moosa bhi tu
Tu ru-ba-ru bhi aur hai ku-ba-ku
Tu rabb-i ‘eesa
Allaahu Akbar
Tu rabb-i maryam
Allaahu Akbar
Rabb-i sahaabah
Allaahu Akbar
Tu rabb-i panj-tan
Allaahu Akbar
Nooh ki kashti ko dekhta hoon
Hauz-i nadaamat men ḍooba hua hoon
Ya raheem
Ya kareem
Ya raheem
Ya kareem
Ya raheem
Kar de tu mujh ko qurbat ‘ata
Ya kareem
Dar-guzar kar de meri khata
Ya raheem
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Ya kareem
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat ‘ata
Dar-guzar kar de meri khata
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat ‘ata
Dar-guzar kar de meri khata
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat ‘ata
Dar-guzar kar de meri khata
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Allahu Akbar was written by Shuja Haider.
Allahu Akbar was produced by Strings & Coke Studio Pakistan.
Amanat Ali released Allahu Akbar on Fri Aug 11 2017.